Saturday, April 28, 2018
Computer Ki Speed Fast Kaise Kare 5 Tarike Se
Computer Ki Speed Fast Kaise Kare 5 Tarike Se
Computer Ki Speed Fast Kaise Kare 5 Tarike Se
Hello dosto agar aapka computer ya laptop ko fast karna hai to aaj ka post aapke hi liye hai is post me mai aapko computer ya laptop ko fast karne ka tarika btane wala hu mai yaha par aapko kuch aise tips bata raha hu jiski madad se aap apne computer ki speed super fast kar sakte hai to dosto agar aap is tricks ke madhyam se laptop ya computer fast karna chahte hai to aap mere pure post ko dhyan se read kare
ye mera post aapke liye helpful hai hi sath me ye 100% work karega aur ye jo maine tricks bataya hai ye bahut aasan hai iske madhyam se aap apne computer ya laptop ko 100% fast kar sakte hai jyada tar computer ya laptop Ram kam hone ki wajah se slow hote hai aur kuch processor ki speed kam hone se to mai aapko ye bhi bata deta hu ki kis madhyam se hum apne computer ya laptop ke fast karte hai
Laptop Ya Computer Ki Speed Kaise Fast Karte Hai
Hum Computer Ya Laptop ko bahut tariko se fast kar sakte hai jaise kuch bata deta hu computer ko fast karne me sabse jyada hath hota hai processor aur ram ka computer me jo pehle se installed softwere hote hai jo hamare kaam ka nahi hota hai use disable karke ram kuch jyada kar sakte hai mai yaha par sab kuch nahi bata sakta nahi ye post bahut bada ho jayega jisse aapko paresani ho sakti mai aapko computer ko fast karne ke sare tips stpe by step btata hu
Apne Computer Ko Super Fast Kaise Bnaye Step By Step Hindi Me
hum apne computer me bahut sare softwere install kiye rehte hai jisse aapka ram kam hone ke karan computer ka speed slow ho jata hai aur jab aap apna computer start karte hai to bahut sare softwere ek sath open hote hai unhe aap close karde close karne ke liye ye step ko follow kare
Tricks 1: Aap apne computer me window+r press karke run command open kare usme aap MSCONFIG type kare phir Enter press kare uske bad aap start up option par click karke open hone wale softwere ko disable karde
Tricks 2: Ab Mai Aapko dusra tarika btata hu jo ki bahut hi aasan hai mai step by step btata hu
Step 1: sabse pehle aap apne computer ko start kare phir mycomputer par right click karke Properties par click karke Advanced System Setting par click kare phir Setting par click karke sare diye gaye mark hata de jo mai chora hai wo aap bhi chorde uske bad aap apply karde isse aapka computer ya laptop bahut fast ho jayega
Tricks 3: step 1: computer se Temp File ko delete kare jisse aapka computer speed fast ho tepm file ko delete karne ke liye aapko window+r press karke Aap TEMP type kare phir OK kare usse aapka temp file aaja yega aap delete kare uske bad phir window+r dabake %temp% aise likh ke ok kare phir delete kare uske bad aap apna recycle bin empty karde
Tricks 4: Aap apne computer ka display driver hamesa update karte rahe jisse aapka computer hamesa fast rahega
Tricks 5: ye jo mai bata raha hu wo new laptop ya computer ko chalane walo ke liye hai jo apne computer ko virous se safe rakhne ke liye apne computer me bahut sare antivirous install kar lete hai jisse unka computer aur bhi slow ho jata hai mai un bhaieyo se kehna chahta hu ki sabse pehle aap un sare antivirous ko unistall karde aur sirf licensi antivirous hi use kare internet se download kiye gaye antivirous bhi fake hota hai
Ye Post Read Kare:
Computer tricks ke liye yaha click kare
Android tricks ke liye yaha click kare
Mobile me free recharge tricks pane ke liye yaha click kare
Internet ki jankari hindi me pane ke liye yaha click kare
Computer me funny tricks ke liye yaha click kare
To Dosto mujhe ummid hai ye post aapko jarur atcha laga hoga lekin aap bhi is post ko share karke aap bhi mera help kar sakte hai aur aap comment karna naa bhule aur mere site ke facebook page jarur like kare